dil rashk-e-aftab nazar aa raha hai aaj
By makhmoor-bhopaliSeptember 4, 2022
dil rashk-e-aftab nazar aa raha hai aaj
bilkul tera jawab nazar aa raha hai aaj
khud husn be-naqab nazar aa raha hai aaj
kitna hasin khwab nazar aa raha hai aaj
meri nigah-e-shauq ki tasir dekhiye
jalwon mein iztirab nazar aa raha hai aaj
har-har nafas pe ek qayamat guzar gai
dil phir bhi mahw-e-khwab nazar aa raha hai aaj
'makhmur' kis ne dekh liya chashm-e-mast se
dil be-khud-o-kharab nazar aa raha hai aaj

44152 viewsghazal • English