dil ro raha hai aankh mein lekin nami nahin jine ko ji raha hun magar zindagi nahin us ko na pa sake jise chaha tamam umr yun to mujhe jahan mein koi kami nahin tha pas-e-abru-e-mohabbat tamam umr ek bund bhi palak se hamari giri nahin rahmat ka kya jawab hai teri wagarna yan wo kaun si khata hai jo hum se hui nahin 'hairat' labon ko si ke guzari tamam umr is zindagi se phir bhi hamari bani nahin