dil se afrang ho gaya hun main

By ahmad-ayazFebruary 24, 2025
dil se afrang ho gaya hun main
han magar tang ho gaya hun main
rang koi bhi ab nahin chadhta
jab se be-rang ho gaya hun main


fasle hain meri jabin pe naqsh
mil ka sang ho gaya hun main
meri aankhon mein sab ma'ani dekh
misl-e-farhang ho gaya hun main


us ke sae mein jazb rangon ko
dekh kar dang ho gaya hun main
ghaur se dekhte ho kya ai dost
itna be-dhang ho gaya hun main


khud ko pane ki justuju mein 'ayaz'
bhid ka ang ho gaya hun main
70845 viewsghazalEnglish