dil se ek pal bhi juda ho ye gawara hi nahin
By kaleem-aajizFebruary 27, 2024
dil se ek pal bhi juda ho ye gawara hi nahin
hum ko ab dard se badh kar koi pyara hi nahin
tere gham ne kiya ye haal khushi hai is ki
ranj is ka hai ki ye haal hamara hi nahin
hum jo marte hain mohabbat mein to marne dije
is mein marne ke 'alawa koi chaara hi nahin
aaj duniya mein badi baat hai izhaar-e-wafa
kya karen hum ko ye tauhin gawara hi nahin
ye to ek farz tha ai gesu-e-dauran apna
hum ne ujrat ke liye tujh ko sanwara hi nahin
aisa kuchh lutf mila 'ishq ki mazduri mein
dard ka bojh kabhi sar se utara hi nahin
khub aagah taqaza-e-junun se hum hain
kya bataen abhi mausam ka ishaara hi nahin
sharm hogi to khud aaegi palat kar 'ajiz'
hum ne jati hui duniya ko pukara hi nahin

61179 viewsghazal • English