dil se josh-e-shabab jata hai zist se iztirab jata hai rukh pe dale naqab jata hai abr mein mahtab jata hai jaane ko to shabab jata hai kar ke mitti kharab jata hai apna ahd-e-shabab jata hai sar se sara azab jata hai rukh-e-raushan pe aai hain zulfen saur mein aaftab jata hai dekhen girti hain bijliyan kis par rukh se sarka naqab jata hai fikr-e-alam se ho ke ab aazad dil se khana-kharab jata hai is tarah ja raha hun main 'asghar' jaise sarmast-e-khwab jata hai