dil se kya puchhta hai zulf-e-girah-gir se puchh apne diwane ka ahwal tu zanjir se puchh meri jaan-bazi ke jauhar nahin raushan tujh par kuchh khule hain teri shamshir pe shamshir se puchh pursish-e-haal ko jati hai kahan ai laila qais ki shakl hai kya qais ki taswir se puchh waqif-e-raaz nahin pir-e-mughan sa koi hai dila puchhna jo kuchh tujhe us pir se puchh waqif-e-lazzat-e-azar nahin har koi kya maza gham mein hai ye aashiq-e-dil-gir se puchh garmi-e-shauq nahin hai to dahan mein ai shama kis liye teri zaban leta hai gul-gir se puchh ulti kyun padti hai tadbir ye hum kya jaanen kaun ulat deta hai is raaz ko tadbir se puchh mujh se ai dawar-e-mahshar hai ye pursish kaisi puchhna hai tujhe jo kuchh meri taqdir se puchh yun to ustad-e-fan-e-sher bahut se guzre kis ko kahte hain ghazal-goi 'asar' 'mir' se puchh