dil se puchho kya hua tha aur kyun KHamosh tha

By pandit-jagmohan-nath-raina-shauqNovember 12, 2020
dil se puchho kya hua tha aur kyun khamosh tha
aankh mahw-e-did thi itna mujhe bas hosh tha
wo bhi kya tasir thi jis ne hilae sab ke dil
kya bataun wo mera hi nala-e-pur-josh tha


mahfil-e-saqi mein tha kuchh aur hi maston ka rang
koi saghar dhundhta tha aur koi behosh tha
kya ajab hai jaeza le mai-paraston ka koi
yaad rakhna saqiya mujh sa bhi ek mai-nosh tha


kya samajh sakta tha koi tere diwane ki chup
jab kisi ne us se kuchh puchha to bas khamosh tha
be-khudi se nashsha-e-jam-e-khudi utra to phir
ek hi saghar mila aisa ki main madhosh tha


ek hamin ko saqiya puchha na tu ne daur main
warna mai-khane mein tere shor nosha-nosh tha
kis qadar tha ishtiyaq-e-manzil-e-maqsud use
marne wale ka janaza aaj dosha-dosh tha


zindagi-bhar ke gunahon se ye thi sharam ai ajal
tarik-e-hasti yahan se jab chala ru-posh tha
ghunche kyun khamosh aae gulshan-e-hasti mein 'shauq'
mausam-e-gul se magar khauf-e-khizan ham-dosh tha


46748 viewsghazalEnglish