dil tadapta hai mera har din sahar hone ke baad maut aa jae na tere bin sahar hone ke baad sham tak fursat na tujh ko sans lene ki mile aa ke taklifen meri tu gin sahar hone ke baad raat aai aae maikhane mein kafir ho gae aur phir se ban gae momin sahar hone ke baad nind to kya chiz aankhen band bhi hum ne na ki jab wo bole aaenge lekin sahar hone ke baad chain dil ko aankh ko thandak khirad ko tazgi neamaten milna hai ye mumkin sahar hone ke baad un ke dil mein meri ulfat yun samai jis tarah phul mein khushbu hui sakin sahar hone ke baad raat bhar ashkon ko roke muskuraya tha magar ho gaya zahir mera baatin sahar hone ke baad khauf aata hai mujhe 'haidar' zamane se bahut aa ke ban ja tu mera zamin sahar hone ke baad