dil talak aa hi gae ashk wo bahte bahte

By shams-ur-rahman-shamsJune 4, 2021
dil talak aa hi gae ashk wo bahte bahte
ho gae kitne qarin dur wo rahte rahte
bachpane mein tha jinhen dur kiya apnon ne
ho gae hain wo jawan zulm ye sahte sahte


kanp jate hain tere hont ye har bar hi kyon
main tumhein pyar nahin karti ye kahte kahte
mauj-e-dariya ke bharose pe chale jate hain
lag hi jaenge kinare kabhi bahte bahte


ek jhalak dekhne aae the teri hum to yahan
'shams' rah jaen na is shahr mein rahte rahte
74718 viewsghazalEnglish