dil uski dastaras se dur hai kya

By nomaan-shauqueFebruary 27, 2024
dil us ki dastaras se dur hai kya
ye mujrim aaj bhi mafrur hai kya
ye duniya bojh banti ja rahi hai
tera 'ashiq koi mazdur hai kya


main apne sach pe sharminda nahin hun
tumhein ye aaina manzur hai kya
mohabbat wale hain kitne zamin par
akela chand hi be-nur hai kya


main apni tarh se dil haarta hun
mohabbat ka koi manshur hai kya
daraate ho khuda ka nam le kar
ye banda is qadar majbur hai kya


96522 viewsghazalEnglish