dili chingariyon se jab koi shoala jawan hoga

dili chingariyon se jab koi shoala jawan hoga
khamoshi chikh utthegi aur insan be-zaban hoga

kabhi tum bhi to diwar-e-ana ko tod kar dekho
mohabbat ke siwa kuchh bhi na apne darmiyan hoga

mizaj-e-waqt mein yaksaniyat dekhi kabhi tum ne
khafa hai aaj jis par kal usi par mehrban hoga

koi hoga mafad us ka yaqinan tum se wabasta
amir-e-shahr kya yun hi kisi par mehrban hoga

hamare qafile ki gar yahi haalat rahi to kal
na gard-e-karwan hogi na shor-karwan hoga

'nisar' apne sukhan mein tajraba hai zindagani ka
hamare dard ka ehsas lahje se bayan hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close