dilon ko todne walo tumhein kisi se kya milo to aankh chura lo tumhein kisi se kya hamari laghzish-e-pa ka khayal kyun hai tumhein tum apni chaal sambhaalo tumhein kisi se kya chamak ke aur badhao meri siyah-bakhti kisi ke ghar ke ujalo tumhein kisi se kya nazar bacha ke guzar jao meri turbat se kisi pe khak na dalo tumhein kisi se kya mujhe khud apni nazar mein bana ke begana jahan ko apna bana lo tumhein kisi se kya qarib-e-naza bhi kyun chain le sake koi naqab rukh se utha lo tumhein kisi se kya