dilon mein yun to lakhon gham nihan hain

By rizwan-aliFebruary 28, 2024
dilon mein yun to lakhon gham nihan hain
magar chehre hamare shadman hain
jahan chhoda hai mujh ko rahbaron ne
wahan har kaam par tarikiyan hain


inhi se haal-e-dil padh lo hamara
ki in aankhon ki bhi apni zaban hain
use mumkin nahin main bhul jaun
ki jis ka gham mere dil mein nihan hai


hamein badnam har su kar raha hai
agarche wo hamara raaz-dan hain
jise khud se ziyaada chahta tha
wahi ek dost mujh se bad-guman hain


hamein 'rizwan' manzil bhi milegi
agar 'azm-e-safar dil mein jawan hain
94526 viewsghazalEnglish