dilon pe chhane laga dhaDkanon ki jaan hua

By nashir-naqviNovember 10, 2020
dilon pe chhane laga dhadkanon ki jaan hua
jab ek umr guzari to main jawan hua
jo bolta tha to mujh se shikayaten thi bahut
main chup hua to use khauf ka guman hua


safar ka hausla rakhta hai ud bhi sakta hai
ye aur baat parinda lahuluhan hua
yahi sabab hai ki har dil mein ja ke basta hai
makan jis ne banae wo la-makan hua


koi to hai jo himayat mein haq ki nikla hai
khuda ka shukr ki koi to ham-zaban hua
chalo ki pahre utha den hum apne jine se
ye roz qiston mein marna azab-e-jaan hua


falak ke chand-sitaron pe aa gai raunaq
zamin se kis ka safar ru-e-asman hua
wo ek pyara sa manzar hai meri aankhon mein
lade khilaunon pe bachche main darmiyan hua


hila na paengi mujh ko ab aandhiyan 'nashir'
main bojh sahte hue ped se chatan hua
25428 viewsghazalEnglish