dimagh phir sa gaya hai kuchh ek salon se

dimagh phir sa gaya hai kuchh ek salon se
khayal bhi nahin milte hain ham-khayalon se

riha hua jo main zanjir-e-kar-e-duniya se
tu khelta raha shab bhar kisi ke baalon se

mera habib udasi ki or badhta gaya
wo mutmain hi nahin tha meri misalon se

koi jawab nahin un udas aankhon ka
mujhe bhi bhagna padta hai un sawalon se

bas ek main hi nahin us ke zikr se marbut
use bhi jaana gaya hai mere hawalon se

dara dara hai meri jaan meri fikr ka ban
tere khayal ke in bhagte ghazalon se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close