din ek ke baad ek guzarte hue bhi dekh

din ek ke ba'd ek guzarte hue bhi dekh
ek din tu apne aap ko marte hue bhi dekh

har waqt khilte phul ki jaanib taka na kar
murjha ke pattiyon ko bikharte hue bhi dekh

han dekh barf girti hui baal baal par
tapte hue khayal thithurte hue bhi dekh

apnon mein rah ke kis liye sahma hua hai tu
aa mujh ko dushmanon se na darte hue bhi dekh

paiwand baadalon ke lage dekh ja-ba-ja
baglon ko aasman katarte hue bhi dekh

hairan mat ho tairti machhli ko dekh kar
pani mein raushni ko utarte hue bhi dekh

us ko khabar nahin hai abhi apne husn ki
aaina de ke bante-e-sanwarte hue bhi dekh

dekha na hoga tu ne magar intizar mein
chalte hue samay ko thaharte hue bhi dekh

tarif sun ke dost se 'alwi' tu khush na ho
us ko teri buraiyan karte hue bhi dekh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close