din ho ki raat, kunj-e-qafas ho ki sehn-e-bagh aalam-e-rozgar se hasil nahin faragh raghbat kise ki lijiye aish-o-tarab ka nam fursat kahan ki kijiye sahba se pur ayagh virana-e-hayat mein aasuda-khatiri kis ko mila is aahu-e-ram-khurda ka suragh aasar-e-ku-e-dost hain aur pa-shikastagi khushbu-e-zulf-e-yar hai aur hum se be-dimagh kis ki jabin pe hain ye sitare araq araq kis ke lahu se chand ka daman hai dagh dagh karte hain kasb-e-nur isi tirgi se hum 'anjum' hain dil ke dagh guhar-ha-e-shab-charagh