din ke hangamon mein duniya thi tamashai meri

By salim-saleemFebruary 28, 2024
din ke hangamon mein duniya thi tamashai meri
phir wahi main tha wahi raat ki tanhai meri
mujh mein sar-garm hai ek ma’rka-e-karb-o-bala
aur meri fath hui jati hai paspai meri


apne hi aap mein duba hun na jaane kitna
zindagi nap rahi hai abhi gahrai meri
dubne aur ubharne ka tamasha tha mera
aur ek bhid thi sahil pe tamashai meri


jurm ye tha ki use dekh liya tha yunhi
aur saza ye hai ki jati rahi binai meri
71532 viewsghazalEnglish