din ke sath utar jati hun

By janan-malikNovember 2, 2020
din ke sath utar jati hun
sham ke par thahar jati hun
us se bichhadne ke us pal ko
sochti hun to mar jati hun


sahra jitni pyas hai meri
aur ek bund se bhar jati hun
mera hath ye pakde rahna
main khwabon mein dar jati hun


miyan mohammad main to apni
gagar bhar ke ghar jati hun
apne aap se hath chhuda kar
main kin raston par jati hun


43718 viewsghazalEnglish