din ke sine pe sham ka patthar

By aadil-raza-mansooriApril 20, 2024
din ke sine pe sham ka patthar
ek patthar pe dusra patthar
ye suna tha ki dewta hai wo
mere haq hi mein kyun hua patthar


daere bante aur mitte the
jhil mein jab kabhi gira patthar
ab to aabaad hai wahan basti
ab kahan tere nam ka patthar


ho gae manzilon ke sab rahi
de raha hai kise sada patthar
sare tare zamin pe gir jate
zor se main jo phenkta patthar


nam ne kaam kar dikhaya hai
sab ne dekha hai tairta patthar
tu use kya uthaega 'adil'
'mir' tak se na uth saka patthar


49958 viewsghazalEnglish