din ki aahen na gain raat ke nale na gae mere dil-soz mere chahne wale na gae apne mathe ki shikan tum se mitai na gai apni taqdir ke bal hum se nikale na gae tazkira soz-e-mohabbat ka kiya tha ek bar ta-dam-e-marg zaban se meri chhaale na gae shama-ru ho ke faqat tum ne jalana sikha mere gham mein kabhi do ashk nikale na gae aaj tak sath hain sarkar-e-junun ke tohfe sar ka chakkar na gaya panw ke chhaale na gae wo bhala pech nikalenge meri qismat ke apne baalon ke to bal un se nikale na gae koi shab aisi na guzri ki bana kar gesu saikdon bal meri taqdir mein dale na gae ham-safar aise wafadar kahan milte hain tere wahshi ke qadam chhod ke chhaale na gae apna diwan muraqqa hai hasinon ka 'jalil' nukta-chin thak gae kuchh aib nikale na gae