din ki bedard thakan chehre pe le kar mat ja baam-o-dar jag rahe honge abhi ghar mat ja mere purkhon ki wirasat ka bharam rahne de tu haweli ko khula dekh ke andar mat ja bund bhar dard sambhalta nahin kam-zarfon se rakh ke tu apni hatheli pe samundar mat ja phutne de meri palkon se zara aur lahu ai meri nind abhi chhod ke bistar mat ja kuchh to rahne de abhi tark-e-wafa ki khatir tujh ko jaana hai to ja hath jhatak kar mat ja aur kuchh der ye mashq-e-nigah-e-naz sahi samne baith abhi phenk ke khanjar mat ja dhup kya hai tujhe andaza nahin hai 'qaisar' aable panw mein pad jaenge bahar mat ja