din ki jaanib kabhi us raat se rasta nikle

By janan-malikNovember 2, 2020
din ki jaanib kabhi us raat se rasta nikle
bagh ki samt bhi footpath se rasta nikle
shayad ek aur mulaqat ki ummid bandhe
ek sar-e-rah mulaqat se rasta nikle


main bhi ab dhundhti rahti hun bahane kya kya
us se kuchh baat karun baat se rasta nikle
ain mumkin hai ye duniya ka ho markaz meri zat
mujh tak aae jo samawat se rasta nikle


shahr ke raste kahin shahr mein kho jate hain
shahr ko ab koi dehat se rasta nikle
khul ke ro lun to ye diwar hate duri ki
abr barse to ye barsat se rasta nikle


mujh ko us mat ka afsos nahin hai 'jaanan'
jit ki samt jo us mat se rasta nikle
34177 viewsghazalEnglish