din ko bhi itna andhera hai mere kamre mein saya aate hue darta hai mere kamre mein gham thaka-haara musafir hai chala jaega kuchh dinon ke liye thahra hai mere kamre mein subh tak dekhna afsana bana dalega tujh ko ek shakhs ne dekha hai mere kamre mein dar-ba-dar din ko bhatakta hai tasawwur mera han magar raat ko rahta hai mere kamre mein chor baitha hai kahan soch raha hun main 'zafar' kya koi aur bhi kamra hai mere kamre mein