din mein jita hun magar raat mein mar jata hun

By ajay-sahaabOctober 13, 2022
din mein jita hun magar raat mein mar jata hun
ek talatum sa hai yaadon ka jidhar jata hun
main ne tujh jaise kisi shakhs ko chaha tha kabhi
ab to is baat ko sochun bhi to dar jata hun


koi dariya hai tasawwur ke kisi kone mein
jis mein har sham main chup-chap utar jata hun
ab koi pyar jatae to hansi aati hai
ek be-zari ke ehsas se bhar jata hun


ab to is rah pe wo dost na yaaden us ki
phir bhi jata hun to patthar sa thahar jata hun
koi ab mujh ko sanbhaale to phisalta hun 'sahab'
koi ab mujh ko samete to bikhar jata hun


26226 viewsghazalEnglish