din to ai dost kisi taur guzar jata hai

By sudarshan-kanwalFebruary 6, 2022
din to ai dost kisi taur guzar jata hai
sham aati hai to dil dard se bhar jata hai
har tarah se mujhe pahchan rahi hai duniya
aib jata hai kahin mera hunar jata hai


sab bure log nahin is mein bhale log bhi hain
jis ko duniya mein jo karna hai wo kar jata hai
jab kisi waqt nashe mein ho tera diwana
tere kuche mein zara der thahar jata hai


zehn mein jab kisi manzil ka tasawwur hi nahin
kis taraf mujh ko liye zauq-e-safar jata hai
shahr ki aab-o-hawa mein koi jita hai 'kanwal'
aur koi dasht-e-junun mein kahin mar jata hai


13895 viewsghazalEnglish