dinon ko joDo mahinon ko sal karte raho
By shakeel-azmiFebruary 29, 2024
dinon ko jodo mahinon ko sal karte raho
mile jo waqt to mazi ko haal karte raho
jo kho gaya hai use yunhi raegan na karo
dilon mein baithe raho aur malal karte raho
zamin sunti nahin hai to aasman se kaho
jawab koi to dega sawal karte raho
wagarna yunhi guzar jaenge ye roz-o-shab
agar hai jina to jina muhaal karte raho
ek aaina bhi inhin pattharon mein rakh do kahin
kabhi-kabhaar hi khud se visal karte raho
yahan tumhaari taraf koi yun na dekhega
ye jaduon ka nagar hai kamal karte raho
tumhaare sukh mein hamara bhi sukh hai jaan-e-man
hamara kya hai tum apna khayal karte raho

28582 viewsghazal • English