dinon mein din the shabon mein shaben paDi hui thin

dinon mein din the shabon mein shaben padi hui thin
sabhi kahaniyan ek taq mein padi hui thin

azan gunji to mehrab mein koi bhi na tha
bas ek rehl pe kuchh aayaten padi hui thin

sunai deta hai ab bhi muqaddas aag ke gird
wo lahn jis mein kai hairaten padi hui thin

mujhe nawaza to peshani par likha us ne
wo nam jis mein sabhi nisbaten padi hui thin

charagh aundhe pade the zamin par sare
aur un ke pas mein un ki lawen padi hui thin

na barg-o-bar hi lae na saeban hue 'turk'
hamari shakhon pe kaisi girhen padi hui thin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close