diwar hai daricha na dar aae raushni
By nomaan-shauqueFebruary 27, 2024
diwar hai daricha na dar aae raushni
taqrir khub jit pe farmae raushni
parcham nahin ye mera 'alam hai husain ka
jis ko shahid hona hai lahrae raushni
naqshe pe koi mulk hamara nahin bacha
ab hum wahin milenge jahan aae raushni
kal raste mein us pe achanak nazar padi
be-ikhtiyar aankhon mein bhar lae raushni
bijli giri to daud pade be-qarar log
taqdir mein nahin tha ki mil pae raushni
har shakh par khile hue 'uryaniyon ke phul
ye shart bhi hai khub ki sharmae raushni
danishwaron ko kaam mila hai naya naya
sham'en bujhaen aur karen hae raushni
pyase ko bhi to pani nazar aana chahiye
is bar chhae abr to barsae raushni
ye jo safai hai na andhere ki den hai
bas intizar kijiye aa jae raushni
taqrir khub jit pe farmae raushni
parcham nahin ye mera 'alam hai husain ka
jis ko shahid hona hai lahrae raushni
naqshe pe koi mulk hamara nahin bacha
ab hum wahin milenge jahan aae raushni
kal raste mein us pe achanak nazar padi
be-ikhtiyar aankhon mein bhar lae raushni
bijli giri to daud pade be-qarar log
taqdir mein nahin tha ki mil pae raushni
har shakh par khile hue 'uryaniyon ke phul
ye shart bhi hai khub ki sharmae raushni
danishwaron ko kaam mila hai naya naya
sham'en bujhaen aur karen hae raushni
pyase ko bhi to pani nazar aana chahiye
is bar chhae abr to barsae raushni
ye jo safai hai na andhere ki den hai
bas intizar kijiye aa jae raushni
14164 viewsghazal • English