diwar pe rakkha hua mitti ka diya main sab kuchh kaha aur raat se kuchh bhi na kaha main kuchh aur bhi maskan the mere dil ke alawa lagta hai kahin aur bhi mismar hua main is dukh ko to main thik bata bhi nahin pata main khud ko mayassar tha magar mil na saka main jaga hun magar khwab ki dahshat nahin jati kya dekhta hun yar tujhe bhul gaya main suraj ke ufuq hote hain manzil nahin hoti so dhalta raha jalta raha chalta raha main ek ishq-qabila meri mitti mein chhupa tha ek shakhs tha lekin koi ek shakhs na tha main ek ghunt ki waqat mere pindar se kam thi is baat se waqif mera mashkiza hai ya main ek jism mein rahte hue hum dur bahut the aankhen na khulin mujh pe na aankhon pe khula main kuchh aur bhi darkar tha sab kuchh ke alawa kya hoga jise dhundta tha tere siwa main