diya apni rawish par kya gaya hai hawa ka hath bhi ghabra gaya hai tumhaare phul mujh tak aa gae hain magar yun bhejna chaunka gaya hai hamare khwab be-parda hue hain hamari aankh mein jhanka gaya hai tadap kar aanganon mein dhup bikhri gala bargad ka phir kata gaya hai sadak par shor aur bhagdad macha kar meri aawaz ko kuchla gaya hai kisi ke hath kate ja rahe hain kisi ke kan se jhumka gaya hai diye ki bhuk jangal kha gai hai andhera dur tak rota gaya hai tumhaara titliyon par war karna hamare phul bhi zakhma gaya hai