diya tha ishq to itna siwa diya hota

By raft-bahraichiJanuary 4, 2024
diya tha 'ishq to itna siwa diya hota
ki apna hona bhi hum ne bhula diya hota
ghurur fitnon ka tum ne daba diya hota
agar ba-naz-e-digar muskura diya hota


kamal-e-sajda tha jab sar jhuka diya hota
nifaq-e-dair-o-haram ko mita diya hota
saliqa jine ka samjha-bujha diya hota
jinhen rulaya tha un ko hansa diya hota


zarur mujh ko shikayat hai dene wale se
jo gham diya tha to gham mein maza diya hota
thikana milta na 'rafat' ko donon 'alam mein
kahin nazar se jo tum ne gira diya hota


49041 viewsghazalEnglish