diye usne auron ko saghar pe saghar
By aafaq-banarasiAugust 13, 2024
diye us ne auron ko saghar pe saghar
chubhoe mere dil mein nashtar pe nashtar
mariz-e-mohabbat ki hai ab ye haalat
ki aate hain har waqt chakkar pe chakkar
meri sakht-jaani ghazab rang lai
hue kund qatil ke khanjar pe khanjar
karam hai ye saqi ki dariya-dili ka
mile mujh ko bhar-bhar ke saghar pe saghar
chadhate hain tyori dikhate hain aankhen
chubhote hain dil mein wo nashtar pe nashtar
teri justuju mein mah-o-mehr donon
lagate hain din raat chakkar pe chakkar
muqabil hua un ki chitwan se jab dil
pade tir par tir khanjar pe khanjar
nigahon ne dil mein chubhoi hain chhuriyan
adaon ne mare hain khanjar pe khanjar
na sarka sar us dar se 'afaq' hargiz
laga kar ise lakh thokar pe thokar

96810 viewsghazal • English