do-jahan ko nigah-e-ijz se aksar dekha
By abdul-hadi-wafaApril 23, 2024
do-jahan ko nigah-e-ijz se aksar dekha
hum ne ummid ko hirman ke barabar dekha
talea-e-be-hunari auj-e-falak par dekha
jis jagah wahm na pahuncha tha wahan sar dekha
is bure waqt mein bhi lakh se achchha hun main
main ne ma'shuq ke parda mein muqaddar dekha
kya kahun qissa-e-dilchaspi-e-haal-e-abtar
doston ne mujhe aghyar se badh kar dekha
ai ajal khub bataya wo qayamat hogi
jis ke aaghosh mein tu ne dil-e-muztar dekha
bekasi-ha-e-tamanna ne sulaya hai mujhe
phir na jagunga agar khwab mein mahshar dekha
yar jab parda-nashin hai to kahan ka parda
parda ye hai ki use parde se bahar dekha
panw phailae hain beja hawas-e-duniya ne
hum ne duniya hi ko lipta hua bistar dekha
is khule zulm ne sab khol diye hain parde
hum ne dekha tujhe sau bar sitamgar dekha
tapka padta hai rag-e-shauq se khun-e-hasrat
kya 'wafa' dast-e-qaza mein koi nashtar dekha

27258 viewsghazal • English