donon ham-pesha the donon hi mein yarana tha qatil-e-shahr se par rabt raqibana tha wo khule jism phira shahr ke bazaron mein log kahte hain ye iqdam dilerana tha band mutthi mein meri rakh thi tabiron ki us ki aankhon mein bhi ek khwab marizana tha laghzish-e-pa bhi har ek gam thi saya saya zindagi tujh se talluq bhi sharifana tha tum jahan apni masafat ke nishan chhod gae wo guzargah meri zat ka virana tha sunte hain apni hi talwar use kat gai dosto hum mein jo ek shakhs harifana tha