donon jahan mein mujhko jhukaya nahin gaya
By syed-masood-naqviJanuary 5, 2024
donon jahan mein mujh ko jhukaya nahin gaya
sar se mere buzurgon ka saya nahin gaya
sine mein mere kaisi tajalli ye dafn hai
jo aag se bhi mujh ko jalaya nahin gaya
dekha jo main ne sach ko ziyaada qarib se
phir chehra us ka mujh se banaya nahin gaya
hairat mein pad gai hai ye binai dekh kar
manzar jo is jahan ko dikhaya nahin gaya
mere khilaf jao to pahle ye sochna
bin pani machhliyon ko jilaya nahin gaya
ye dushmani to yar kisi kaam ki nahin
ek yar tak thikane lagaya nahin gaya
khun-e-husain aaj bhi hai meri aankh mein
khun-e-husain mujh se bhulaya nahin gaya
duniya se khelna to bas ek shauq hai mera
is shauq mein kisi ko haraya nahin gaya
hairan hun main yar ki wo sab ke sath hai
jis se kisi ka sath nibhaya nahin gaya
tum to bata rahe the hamein apne man ki baat
hum se to apna haal bataya nahin gaya
main bewafa nahin hun magar thoda sakht hun
lekin teri samajh mein jo aaya nahin gaya
hum hijraton ke mare hue khush-nasib log
hum se koi bhi rishta nibhaya nahin gaya
parwardigar tu ne ye kaise bana diya
pani mein hum se rasta banaya nahin gaya
kya maut ki bisat hai jo samna kare
'mas'ud' ko kisi se hilaya nahin gaya

49882 viewsghazal • English