dost koi jo mo'atabar na raha eatibar apne aap par na raha rahbar se jo be-khabar na raha rahzan ka usi ko dar na raha fasl aai hai jab se patjhad ki saya wala koi shajar na raha khaksari mein ho gaya mashhur kaj-kulahi liye jo sar na raha aan rakh kar wo jaan se khela mat khane ka jis ko dar na raha jis mein sadiyan sama gain wo sukhan mukhtasar ho ke mukhtasar na raha aadmi ki kami nahin 'nadim' aadamiyyat liye bashar na raha