dosti mein ana nahin hai dost
By surender-sagarJanuary 5, 2024
dosti mein ana nahin hai dost
kyon ye sach manta nahin hai dost
main kai chehre to nahin rakhta
phir bhi pahchanta nahin hai dost
apna to kahta hai magar apna
tu mujhe manta nahin hai dost
kyon tu parwah bhi nahin karta
kyon mera aaina nahin hai dost
teri nazren bata rahi hain tu
aaj-kal ba-wafa nahin hai dost
kyon ye sach manta nahin hai dost
main kai chehre to nahin rakhta
phir bhi pahchanta nahin hai dost
apna to kahta hai magar apna
tu mujhe manta nahin hai dost
kyon tu parwah bhi nahin karta
kyon mera aaina nahin hai dost
teri nazren bata rahi hain tu
aaj-kal ba-wafa nahin hai dost
59869 viewsghazal • English