dosto kya kya diwali mein nashat-o-aish hai

By nazeer-akbarabadiMarch 27, 2024
dosto kya kya diwali mein nashat-o-aish hai
sab muhayya hai jo is hangam ke shayan hai shai
is tarah hain kucha-o-bazar par naqsh-o-nigar
ho ayan husn-e-nigarisatan ki jin se khub re


garm-joshi apne ba-jam-e-charaghan lutf se
kya hi raushan kar rahi hai har taraf roghan ki mai
mail-e-sair-e-charaghan khalq har ja dam-ba-dam
hasil-e-nazzara husn-e-shama-ru yan pai-ba-pai


aashiqan kahte hain mashuqon se ba-ijz-o-niyaz
hai agar manzur kuchh lena to hazir hain rupae
gar mukarrar arz karte hain to kahte hain wo shokh
hum se lete ho miyan takrar-e-hujjat ta-ba-kai


kahte hain ahl-e-qimar aapas mein garm-e-ikhtilat
hum to dab mein sau rupe rakhte hain tum rakhte ho ke
jit ka padta hai jis ka danw wo kahta hun main
su-e-dast-e-rast hai mere koi farkhanda-pai


hai dasahre mein bhi yun gar farhat-o-zinat 'nazir'
par diwali bhi ajab pakiza-tar tyauhaar hai
97371 viewsghazalEnglish