doston ke darmiyan bhi hum ko tanha dekhte

By jameel-malikNovember 2, 2020
doston ke darmiyan bhi hum ko tanha dekhte
tum kabhi aate sar-e-mahfil tamasha dekhte
aaina-khanon mein kya rakkha hai hairat ke siwa
kucha-o-bazar mein khun-e-masiha dekhte


maut ko bhi hum bana lete mata-e-zindagi
qatl yun hote ki sab dana o bina dekhte
qais ki manind kyun taswir ban kar rah gae
parda-e-mahmil utha kar ru-e-laila dekhte


mein tumhaare husn ka be-sakhta izhaar hun
apne aaine mein mera bhi sarapa dekhte
dhundne nikle hain tujh ko mawara-e-ab-o-gil
umr guzri yam-ba-yam sahra-ba-sahra dekhte


kya ye kam hai farsh se ta-arsh ho aae 'jamil'
chaar din ki zindagi mein aur kya kya dekhte
41661 viewsghazalEnglish