dua ke hath mein khanjar bada ajib laga badalte waqt ka manzar bada ajib laga lahu wafaon ka pi kar bhi na hua gulzar siyasaton ka ye banjar bada ajib laga zamin se roti ugane hi wale hain bhuke ye mehnaton ka muqaddar bada ajib laga main aaina tha zamane ke hadson ka hi usi ne dekha jo hans kar bada ajib laga hua hai kya ki ujalon se dar rahe hain log tumhaare shahr ka ghar ghar bada ajib laga gunahon ke hi gale mein inayaton ka haar adalaton ka ye zewar bada ajib laga luti-luti si hai rahen miti-miti manzil safar ye umr ka aksar bada ajib laga