duaen mang rahe hain kai khayal abhi khuda ke ghar se farishton ko mat nikal abhi daba le dard abhi aansuon ko pal abhi tera ye aakhiri sikka hai mat uchhaal abhi hawa se kahna zara aur intizar kare karegi raat charaghon ki dekh-bhaal abhi gae dinon ki amanat usi ki nok pe hai hamare sine se khanjar ye mat nikal abhi khuda ka shukr parinde safar se laut aae shikariyon ke agarche bichhe hain jal abhi wafa ke khel mein nau-warid-e-bisat hun main samajh mein aati nahin dushmanon ki chaal abhi dhiyan aap ke ehsan ka bhi hai lekin kisi ke qarz mein duba hun baal-baal abhi bhanwar se bach ke chali aai ek naw 'fahim' na puchh kitna samundar ko hai malal abhi