dub jaana mera muqaddar tha us ki aankhen na thin samundar tha sabab-e-dil-shikastagi mat puchh samne aaine ke patthar tha be-tawazun guzar rahi hai hayat wo meri zindagi ka mehwar tha jis ki sanson mein thi masihai us ka ek ek lafz nashtar tha us ko dekha to mar gaya shayad mujh mein poshida ek aazar tha jis ko 'abid' sukun-e-dil kahiye ab nahin hai kabhi mayassar tha