Dub kar ubharne mein der kitni lagti hai

dub kar ubharne mein der kitni lagti hai
raat ke guzarne mein der kitni lagti hai

chunriyon mein chudi mein rang kitne bhate hain
rang ke utarne mein der kitni lagti hai

man ke pet mein bachcha rome rome badhta hai
aadmi ko marne mein der kitni lagti hai

ghar ko ghar banane mein umr bit jati hai
phir makan girne mein der kitni lagti hai

ungliyon ki poron mein kirchiyan utarti hain
kanch ke bikharne mein der kitni lagti hai

umr kaise dhalti he maut kaise palti hai
chaar din guzarne mein der kitni lagti hai

shakh ki hatheli par phul muskuraata hai
phul ke bikharne mein der kitni lagti hai

dosti ke rishte par jab sawal uthta hai
dost ko mukarne mein der kitni lagti hai

umr bhar ke sathi jab raste badalte hain
umr ko guzarne mein der kitni lagti hai

maslahat ke parde ki umr kitni hoti hai
ye naqab utarne mein der kitni lagti hai

ek sar ki chadar ho aur panw mein chappal
apne saj sanwarne mein der kitni lagti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close