dubte dubte suraj ne ziyaen din hain teri yaadon ne bahut dil ko sadaen din hain ye adalat kisi tahrir ki muhtaj nahin waqt ne har kas-o-na-kas ko sazaen din hain zindagi tujh ko barahna nahin rakkha hai kabhi hum ne har dard ko lafzon ki qabaen din hain sirf fayyazi ke qisse na muarrikh likhna bujhte shoalon ko bhi to us ne hawaen din hain shaeri yunhi nahin pukhta meri ai 'shauqi' mere ustad ne kuchh aisi duaen din hain