Dubte suraj ka manzar wo suhani kashtiyan

By shamim-farooquiNovember 19, 2020
dubte suraj ka manzar wo suhani kashtiyan
phir bulati hain kisi ko baadbani kashtiyan
ek ajab sailab sa dil ke nihan-khane mein tha
ret sahil dur tak pani hi pani kashtiyan


mauj-e-dariya ne kaha kya sahilon se kya mila
kah gain kal raat sab apni kahani kashtiyan
khamushi se dubne wale hamein kya de gae
ek anjaane safar ki kuchh nishani kashtiyan


ek din aisa bhi aaya halqa-e-girdab mein
kasmasa kar rah gain khwabon ki dhani kashtiyan
aaj bhi ashkon ke is gahre samundar mein 'shamim'
tairti phirti hain yaadon ki purani kashtiyan


69284 viewsghazalEnglish