dukh-dard ke maron se mera zikr na karna ghar jao to yaron se mera zikr na karna wo zabt na kar paengi aankhon ke samundar tum rah-guzaron se mera zikr na karna phulon ke nasheman mein raha hun main sada se dekho kabhi kharon se mera zikr na karna shayad ye andhere hi mujhe rah dikhaen ab chand sitaron se mera zikr na karna wo meri kahani ko ghalat rang na de den afsana-nigaron se mera zikr na karna shayad wo mere haal pe be-sakhta ro den is bar bahaaron se mera zikr na karna le jaenge gahrai mein tum ko bhi baha kar dariya ke kinaron se mera zikr na karna wo shakhs mile to use har baat batana tum sirf ishaaron se mera zikr na karna