dukh dard ranj-o-gham ka na koi malal kar

By moinuddin-shamsiJanuary 21, 2022
dukh dard ranj-o-gham ka na koi malal kar
hota hai sab khuda ki taraf se khayal kar
dushwar hai ye chiz bhi rakhna sanbhaal kar
pahlu se de raha hun main dil ko nikal kar


mazi to khair laut ke aane se ab raha
behtar hai mere dost yahi fikr-e-haal kar
majruh is se hota hai apna waqar bhi
mushkil mein doston se na koi sawal kar


das lega ek roz use hi khabar nahin
jo sanp aastin mein rakhta hai pal kar
jis ki sharafaton ki qasam kha rahe the log
wo baat bhi kare hai to khanjar nikal kar


kahna hai jo bhi 'shamsi' kaho us ke ru-ba-ru
kya faeda hai baad mein kichad uchhaal kar
63637 viewsghazalEnglish