dukh ki chikhen pyar ki sargoshiyan rah jaengi hum chale jaenge aawazen yahan rah jaengi aainon jaise badan dariya baha le jaega ret mein pairahanon ki dhajjiyan rah jaengi subh se pahle guzar jaega ye tufan bhi aasman par ikka-dukka badliyan rah jaengi ho bhi jae dil agar khali khayal-o-khwab se phir bhi ek kone mein kuchh be-khwabiyan rah jaengi