dukh ki lahar ne chheDa hoga

By nasir-kazmiNovember 10, 2020
dukh ki lahar ne chheda hoga
yaad ne kankar phenka hoga
aaj to mera dil kahta hai
tu is waqt akela hoga


mere chume hue hathon se
auron ko khat likhta hoga
bhig chalin ab raat ki palken
tu ab thak kar soya hoga


rail ki gahri siti sun kar
raat ka jangal gunja hoga
shahr ke khali station par
koi musafir utra hoga


aangan mein phir chidiyan bolin
tu ab so kar uttha hoga
yaadon ki jalti shabnam se
phul sa mukhda dhoya hoga


moti jaisi shakl bana kar
aaine ko takta hoga
sham hui ab tu bhi shayad
apne ghar ko lauta hoga


nili dhundli khamoshi mein
taron ki dhun sunta hoga
mera sathi sham ka tara
tujh se aankh milata hoga


sham ke chalte hath ne tujh ko
mera salam to bheja hoga
pyasi kurlati kunjon ne
mera dukh to sunaya hoga


main to aaj bahut roya hun
tu bhi shayad roya hoga
'nasir' tera mit purana
tujh ko yaad to aata hoga


14001 viewsghazalEnglish